Sunday, August 23, 2009

Zindagi

Ai zindgi...!!!!
Zindgi ki ab
nahi kar Baat mujh se
Maine dekha hai tujhe
kitne honthoN se HaNsi
Chheen kar muskurate hue
Kitne chahne walo ko
juda kar...
qahqaha lagate hue
kitne jismoN ko tune
Apne hi hathon Apahij kiya hai
Apne Aap ka Bhram rakhne ke liye
kitne Dariya ko
tune se-hra banaya hai...
aur sirf ek apni aan ke liye...
har ghadi leti hai
tu qurbani kitne jaan ki
tujh sa bewafa koi nahi
ai zindgi.... zindgi ki
ab baat naa kar mujh se...
BAS!!!

Shadi

mere bhi din pher jaye koi
mere bhi haath peele kar de koi
mere bhi ghar me dhoom mache kabhi
log aayen …aur… jayen
jhumen khushiyan manayen sabhi
mere bhi sar pe sehra saje kabhi
meri bhi shadi ho jaye kabhi
mujhe bhi koi dulha banaye kabhi
mere bhi ghar pyari dulhan aaye kabhi
kab se soona soona sa hai mera aangan
kabhi ise aa kar to sajaye koi
dil ke soye armaan ko jaga jaye koi
jin sham me khush rahte hen …sab
mere bhi naam aisi hi shaam kar jaye koi
meri bhi shadi kara jaye koi…
mujhe bhi dulha bana jaye koi…
mujhe bhi “dulha” bana jaye koi…!!!

Anhonee

mujhe pata hai ke...
ye namumkin hai
lekin phir bhi ye naadan dil chahe ke
tera saath ho hum hoN Tum ho
ye kya bilkul mumkin nahi hai
hamare tumhare beech jo faasla hai
saiNkdon meel ka hai
jo ke kabhi kam na ho
kab tak........................
chalta rahunga tanha be-aas
naa jaane mujhe aisa kyon lagta hai
shayad kuchh ANHONEE ho jaye
aur tu hamesha hamesha ke liye
meri ho jaye
par aisa kyon hoga ke tu meri hogi
sochta hun ke....................
ANHONEE ka intezazar karte karte
umra ka ye safar na BEET jaye....!!!!